I
naam bhi pata hai
kaam bhi pata hai
tere naam ka har jaam bhi pata hai
nahin hai pata to bas us shaam ka
jis pe tera naam likha hai
II
zulf ko munh mein daba liya, andhere ne suraj ko dooba diya...
jhalak khul ke le na paya main is nazare ki ,
teri aankhon ne jo mujhe is kadar karaah diya.....
III
Dard itna bhi ho sakta hai , na jana tha maine kabhi
Nasha aisa bhi ho sakta hai, socha na tha maine kabhi
Dawa hoti hai har dard ki , soch ke hamesha khush rehte the,
Hai ek dard bin dawa ke bhi, ye bataya tune abhi
IV
Phir vohi shaam hai..
Nazme aur nagme sun jaao aaj to phir
aao paas aa baitho
kuch muskura do to zara sa aaj to phir
madhosh hone ko pee to raha hun
par tum madhoshi ban baitho meri aaj to phir
Kehta to rehta hun diary se blog se dil se apne
baat mere dil ke parde ke peeche ki khud padh jaao, aaj to phir
V
Aaj bhi reh reh aksar gumshuda si sada tumhaari,
pakshi ki chehek si sunai deti hai
chaahe tum chaaho ya na, idhar hamesha meetha sa hi ehsaas hota hai
Kuch to ache karm kiye honge in kaanon ne mere

1 comment:
waah!! waah!!
Post a Comment